Home
»
snacks
»
How Prepare Veg Kothe - Veg Manchurian
Veg Kothe
Veg Kothe Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 1/3 Cup Maida
2. 2 Tebel Chamach Corn Flour
3. 3/4 Cup Kasa hua Gajar
4. 3/4 Cup Kasa hua Gobhi
5. 1/2 Cup Barik kati hui Shimla Mirchi
6. 3 Madyam Pyag Barik kata hua
7. 2 Hari Mirchi Barik Kati hui
8. 1 Chamach Tel
9. Namak
10. 1/4 Te Chamach Kali Mirchi Powder
Masale Ke Liye
1. 1 Madyam Pyaz kata hua
2. 1/2 Cup Kati hui Hari Shimla Mirchi
3. 1/2 Chamach Barik kata hua Adrak
4. 2 Hari Mirchi
5. 1/2 Chamach Barik kata hua Lahsun
6. 2 Chamach Barik kata hua Hara Pyag
7. 2 Chamach Tel
8. 1 Chamach Soya Sauce
9. 1/2 Chamach Chilli Sauce
10. 2 Chamach Tamatar Ketchup
Veg Kothe Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Ek katore me kasa hua gajar, kasa hua gobhi, kati hui shimla mirchi, kati hui hari mirchi, kata hua hara pyaz, 1 chamach tel, kali mirch powder, maida, corn flour aur namak le.
⦁ Sabhi samgriyo ko tika se mila le. Mishran me se chote chote gole bana le. Mishran me se tika se gole nahi ban rahe he tho mishran me toda pani dale.
⦁ Ek kadahi me madyam anch par tel garm kare. Jab tel thalane ke liye paryapta garm ho tab usme 4-5 kacche gole dale aur unhe sunhare bure rang ke hone tak thale.
⦁ Thale hue golo ko ek plate me kitchen paper ke upar nikale.
⦁ Ek kadahi me ucchaa anch par 2 chamach tel garam kare. Usme kata hua pyag, kati kui shimla mirch, hari mirch, kata hua adrak aur kata hua lahsun dale aur unhe toda pakane tak bune, isme lagbag 2-3 minat ka samay lagega.
⦁ Soya sauce, tamatar ketchup, chilli sauce aur namak dale, achi tarah milaye.
⦁ Thale hue gole aur kati hui hari pyag dale. Halke se uchale aur 1-2 minat ke liye pakaye.
⦁ Veg Kothe taiyar hai.
0 comments :
Post a Comment