Imarti
Imarti Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 250gm Urad ki dal
2. 500gm Shakar
3. 50gm Ararot
4. 1 Chutki Pila Rang
5. Talane ke liye Gee
6. Gol cheda vala mote kapade ka Rumal
Imarti Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Urad ki dal ko achi tarah se dho le, use rat barke liye pani me bigo de. Subah dal ka pani nikal de aur use mixer me barik pisa le. Dal pisne ke bad usme rang aur ararot mila de aur achi tarah se pent le.
⦁ Ek bagone me ek Cup pani le aur usme chini dal kar dol le.Chini dulale ke bad dol vale bartan ko aag par tab tak pakaye,jab tak uski ek tar ki chasni na ban jaye.
⦁ Ek chote chamach me chasni ko nikal kar use tanda kar le aur do ungliyonko bich rak kar chipka kar deke.Agar ungliyonke bich ek tar jaisa banta hai, to samaj le ki apki chasni taiyar hai.
⦁ Ek kadahi le aur usme gee dal kar use garm kare. Gee garm hone par kapade me 3-4 bade chamach penti hui dal bar le. Iske bad kapade ko upar se pakad kar tayita kar le aur use upar se dabate hue garm gee me gola kagnuredar imarti banaye aur unhe kurkuri tal le.
⦁ Talane ke bad imart ko gee se nikale aur unhe chasni me dubo de. 15-20 minat chasni me dubi rahane ke bad unhe nikal le.
⦁ Aab apki imarti taiyar hai. Unhe garma garam plate me nikale aur serv kare.
0 comments :
Post a Comment