Ban Bread
Ban Bread Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 2 Cup Maida
2. 1 Choti Chamach Yiest
3. 1/4 Chamach Namak
4. 1 Chamach Makkan
5. 1/4 Cup Chini Powder
6. 1 Cup Doodh
Ban Bread Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Ek bade pyale me maida dal dijiye isme dry active yiest, namak, makkan, chini powder dal kar achi tarah se mila dijiye, aur gungune doodh ki sahayata se naram aata goond kar taiyar kijiye.
⦁ Hatho par toda sa makkan lagakar gunte hue aate ko masal masal kar 5 minat tak masal masal kar chikna kijiye.
⦁ Gute aate ko charo aur se makkan lagakar chikna kar ke 2 gante ke liye dakkar, garam jagah par rakh dijiye.Aata pula kar dugana ho jayega.
⦁ Jab aata pula kar duguna ho jaye tho hath par toda sukha maida lagakar aate ko punch kar ke toda sa masal lijiye. Aab aate ko barabar size ke tukado me toda lijiye.
⦁ Itane aate se karib 8 bagh karate hue toda lijiye, aab ek-ek tukade ko utathe hue gola akar dethe hue roles bana lijiye.
⦁ Baking trey lijiye aur ise tel lagakar ache se chikana kar lijiye aur sabhi roles ko todi todi duri par lagakar trey me rakathe jayiye. Aab ina roles ke upar toda sa tel laga kar chikana kar lijiye.
⦁ Trey me rakhe roles ko dakakar adhe gante ke liye rakh dijiye, roles pula kar taiyar ho jayengi.
⦁ Ovan ko 180 degri centigrade par pre heat kar lijiye. Ovan garm hone bad roles se bari trey ko ovan me rakh lijiye 180 d.c. par 15 minat beka kijiye, aur check kijiye, roles abhi brown nahi hue samay ko badathe hue roles upar se ache brown hone tak bake kar lijiye.
⦁ Ban Bread taiyar hai. Ban bread ko jam, butter ke sath ya aise hi ka sakathe hai.
0 comments :
Post a Comment