Ragi Idli
Ragi Idli Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 1 Cup Chawal
2. 2 Cup Ragi Ata
3. 1 Cup Urad Dal
4. Namak Swad Anusar
Ragi Idli Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Sabse pehle Urad dal ko 4 gante ke liye bigo kar rak de. Chawal ko bhi alag pani me 5 gante ke liye bigo kar rake.
⦁ Urad dal ko toda sa pani milakar barik pisa le. Chawal ko bi toda sa pani dalkar barik pisa le.
⦁ Pise hue chawal me pisi Urad dal,ragi ata aur namak mix kare. Mishran jyada patla na rake.
⦁ Aab isa mishran ko 8-10 gante ke liye ek bartan me rak de.
⦁ Aab idli banane wala sancha le aur usme idli ka dol bar kar idli banaye.
⦁ Unhe ek plate me nikale aur naste me sambar aur nariyal ki Chutney Ke sath serv kare.
Ragi Dosa
Ragi Dosa Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 1 Cup Ragi ka ata
2. 1/4 Cup Urad dal
3. 2 Chamach Mung Dal
4. 2 Chamach Arhar Dal
5. Tebel Chamach Jeera
6. 1/2 Tebel Chamach Kali Mirchi Pauder
7. Namak Swad Anusar
8. 1/4 Cup Dahi
9. Tel
Ragi Dosa Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Urad Dal, Moong dal aur arhar dal ko milakar 6-7 gante bigo kar rake.
⦁ Dal ko mixi me barik pisa lijiye. Aab usme ragi ka ata, jeera, kali mirchi pauder, dahi, namak dal kar milaye.
⦁ Uske bad avasyakata anusar pani dal kar dosa beter ki tarah dol taiyar kar lijiye.
⦁ Tave ko garma kare aur usa par toda tel dale.
⦁ Mishran ko tave par golakar akar me dale. Toda sa tel chamach se dose ke charo aur daliye.
⦁ Dose ko dono aur sek lijiye. Garama Garam ragi dosa taiyar.
0 comments :
Post a Comment