Jera Paratha
Jera Paratha Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 2 Cup Gehu ka Aata
2. 2 Chamach Jeera
3. 1 Bada Chamach Tel
4. Namak Swad Anusar
5. 1 Cup Pani
6. 1 Chamach Lal Mirchi Pauder
Jera Paratha Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Ek Kadahi me gehu ka aata lekar usme jeera, tel aur namak milaye. Sabhi samgri ko ache se milaye.
⦁ Sab mix ho jaye to pani milakar aata goond le. Aata goond ne bad use 10-15 minat tak rak de.
⦁ Aab paratha ke aate ko nimbu ke akar ke bola me bant de.
⦁ Bailan ki madad se ina chote bola ko 5-6 inch ki puri ke akar me bela le.
⦁ Usa par tel laga kar, suka ata chidkakar aur lal mirch pauder chidak kar use ada pold kare phir se tel lagakar use pold kar ke tikona akar de.
⦁ Baki ate ki luhiyo ke liye isi tarah tikona akar ke parathe banaye.
⦁ Aab sabhi tikona akar ko parathe me beliye. Aab ek roti ke tave ko garam kar ke parathe ko usapar rake.
⦁ Ek tarap sika jane par parathe ko palat de. Isa tarap tel lagakar parathe ko sunhara seka le.
⦁ Garama garam jera paratha taiyar hai. Rayata ke sath parose.
0 comments :
Post a Comment