Aloo Paratha
Aloo Paratha Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 1 1/2 Cup Gehu ka Aata
2. 2 Madyam Aloo uble aur chile hue
3. 4 Chamach Barik kata hua hara Daniya
4. 1 Chamach Nimbu ka Ras
5. 1 Chamach Chini
6. 2 Hari Mirchi
7. 1 Chamach Garam Masala Pauder
8. 1 Chamach Lal Mirchi Pauder
9. 1 Chamach kasa hua Adrak
10. Makkan Parosane Ke Liye
11. 2 Chamach Tel
12. Namak Swad Anusar
13. Pani
Aloo Paratha Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Pehle ek parath me 1 cup gehu ka ata, 1 chamach tel aur namak dale. Toda toda pani dale aur chapati ke ate jaisa naram ata gunt le. Uske upar 1/2 chamach tel dale aur aate ko masal ke chikna kar le. Use ek tali se dakkar 20 minat ke liye rahane de.
⦁ Ek katore me uble hue aloo le aur unhe mesh kar le. Isme kati hui hari mirchi, Lal mirchi pauder, kasa hua adrak, garam masala pauder, chini, nimbu ka ras aur namak dale. Sabi samgri ko tika se mila le.
⦁ Masale ko 6 barabar bago me bant le aur unhe gole ka akar de. Taiyar aate ko 6 barabar bago me bante aur usme se loyiya bana le
⦁ Ek choti plate me 1/2 cup gehu ka ata lijiye. Ek loyi le aur use suke ate me lapet le. Loyi ko chakle ke upar rake aur 4-5 inch vyas ke gola akar me bela le. Iske upar masale ka ek gola rake.
⦁ Bele hue ate ko charo aur se utakar band kare. Kinaronko sila kare aur phir se ise ek gole ka akar de.
⦁ Use chakle par rake aur dire se dabaye. Uske upar toda sa suka ata chidke. Ise 6-7 inch vyas ke gola akar me roti ya chapati ki tarah bel le. Ise bahut jyada patla mat banayiye.
⦁ Tave ko madyam anch par garm kare. Parathe ko garm tave par dale aur senkane de. Jab upri satah par chote bulbule dikane lage tab ise plate aur anch ko kam kare.
⦁ iske kinare ke asapas chamach se 1/2 chamach tel lagaye aur lagbag 30-40 sekand ke liye senkane de.ise phir se palate aur uske kinare ke asapas 1/2 chamach tel lagaye. ise chamach se dabaye aur madyam anch par 20-30 sekand ke liye semphe.
⦁ parathe ki dono satah par sunhare ranga ki chitiaane tak semphe.
⦁ Ek Plate me nikale aur uske upar makkan lagaye ise tamatar ka rayata aur achar ke sath parose.
0 comments :
Post a Comment