Gobhi Paratha
Gobhi Paratha Recipe ke Liye Avshayak Samgri
1. 2 Cup Gehu ka Aata
2. 2 Cup Kadukas kia hua Gobi
3. 1 Chota Aloo, ubla, chila aur kadukas kia hua
4. 1/4 Te Chamach Jeera
5. 1 Madyam Pyag Barik kata hua
6. 1 Te Chamach Adrak-Lasun ka Paste
7. 1 Hari Mirchi Barik kati hui
8. 2 Tebel Chamach Barik Kata hua hari Daniya
9. 1 Te Chamach Nimbu ka Ras
10. 1/3 Te Chamach Garam Masala Pauder
11. 1/8 Te Chamach Haldi Pauder
12. 1/4 Te Chamach Lal Mirchi Pauder
13. 2 Chamach Makkan
14. 5 Chamach Tel
15. Namak
Gobhi Paratha Banane Ke Asaan Tarike
⦁ Pehle ek parath me 1 1/2 cup gehu ka ata, 2 chamach tel aur namak dale. Toda toda pani dale aur chapati ke ate jaisa naram ata gunt le. Uske upar 1/2 chamach tel dale aur aate ko masal ke chikna kar le. Use ek tali se dakkar 20 minat ke liye rahane de.
⦁ Gobi ka masala taiyar karne ke liye ek kadahi me madyam anch par 2 chamach tel garam kare. Usme jeera, barik kata hua pyag dale aur use halke bure rang ka hone tak bune. Adrak-lasun ka pest aur hari mirchi dale aur lagbag 25 sekand ke liye bune.
⦁ Kadukas kiya hua pula gobi aur namak dale. Achi tarah se mila le.
⦁ Mishran ko toda suka hone tak bune, isme lagbag 3-4 minat ka samay lagega. Chipkane se rokane ke liye kabhi kabhi bicha me chamache se chalate rahe.
⦁ Garam masala pauder, lal mirchi pauder, haldi pauder, nimbu ka ras aur hara daniya dale. Ache se mila le aur 1 minat ke liye pakane de. Ubla hua aloo dale. Ache se mila le aur gas band kar de.
⦁ Gobi ka masala taiyar hai. Ise 5 minat ke liye tanda hone de. Masale ko 6 barabar bago me bat le. Ate ko 6 barabar bago me bat le. Har ek bag ko gola akar de aur use apni hateliyonke bicha dabakar loyi bana le.
⦁ Ek plate me 1/2 cup suka ata lo. Ek loyi ko suke ate se lapet le aur chakle ke upar rake. Ise ek choti gola puri ke akar me bel le. Isake bicha me barayi ka ek hissa rake.
⦁ Beli hui puri ki kinare charo aur se upar ki tarap utayiye aur barayi ko ate se lapet le. Kinaronko sila kare aur phir se use gola akar de. Use chakle ke upar rake aur dire se dabaye taki loyi ki tarah ban jaye.
⦁ Use suke ate se lapet aur lagbag 5-6 inch vyas vale aur lagbag 1/2 sentimeter motayi vale gola akar me bel le.
⦁ Tave ko madyam anch par garm kare. Ek parathe ko tave ke upar rake. Use palate aur phir dono tarap 1/2 te chamach tel saman rupa se lagake lagbag 30-40 sekand ke liye pratek baju pakayiye.
⦁ Jarurat ke anusar parate ko palate aur sunhare bure rang ki chithi ane tak pakayiye.
⦁ Gobi paratha ko plate me nikale aur uske upar makkan laga de. Gobi paratha ko masale dar achar ke sath garam parose.
0 comments :
Post a Comment